Wednesday, December 19, 2012

TUM



Hare Markad Mani jaisi yeh aankhen,
Logo ko Zinda afsana banati yeh aankhen,
Zindagi ko or haseen banati yeh aankhen,
Or in aankhon ko kajaal se tarashti sirf tum,
Sirf Tum, Sirf Tum, Sirf Tum
Andhero ko ujalo mai badalti yeh aankhen,
ujalo ko roshni mai badalti yeh aankhen,
lakhon dilo ko dubati neel samundar jaisi yeh aankhen,
or in aankhon ka bojh uthati tum, 
sirf tum, sirf tum, sirf tum
kai chando ke nur se roshan hain ye aankhen
tumhare sanam ka hasi jiwan hain ye aankhen
kisse karu tulna jahaan me dikhta nahi kuch bhi
itne tilism ko khud me samete hain ye aankhen
khuda ne bakshi h sabse alhadaa ye aankhen 
aur in aankho ko aur khubsurti dene wali..
sirf tum sirf tum sirf tum
Heere se tarasha sandal se yeh badan,
Gulab ki rooh odh kar khilta hua jaise koi kamal,
Doodh mai kesar jaisi rangiyat tumhari,
Is rangiyat mai chaar chand lagati yeh aankhen tumhari,
Janm-janmantar ke rishte batati yeh aankhen,
Or un rishto ko aankhon se nibhati tum,
Sirf Tum, Sirf Tum , Sirf Tum
chandni raat ka gamgeen saagar,
hazaaro khawahishe apne mai samete hue,
lakhon insaano ke bebas aansu,
jab dekha us jahaz dubte hue,
har ek pal ki saakshi yeh aankhen,
har ek aansu ki keemat lagati hui tum,
Sirf Tum, Sirf Tum, Sirf Tum
Kabhi jagati kabhi soti yeh aankhen,
Kabhi hansti to kabhi roti yeh aankhen,
Yeh aankhen hai ya hai wajood tumhara,
Kyunki inme samaya hai saya tumhara,
saye se apne khud ke darti yeh aankhen,
dur khud se bhagati yeh aankhen,
ithlati balkhati sharmati surmayi yeh aankhen,
or in aankhone ki bholi si, maasum si, pak si,

swamini tum, tum, tum or sirf tum
mayassar nahi hota har kisi ko ye husn ka tohfa
bahut hi naayab hota hai ye husn ka tohfa
jab khuda ki kaarigari khuda ke dil me basti hai
tab wo tasvir zinda hoke is duniya me aake sajti hai
wo jaadu hai teri har adaa me ki faakhta hosh ho jate hain
tujhse milne wale tujhme hi har tarah kho jate hain
in adaao ke sataaye hue hain e apsara khud hum
aur ye hasi sitam dhaane wali ho 

No comments:

Post a Comment